Stay calm. Stay focused. You've got this!
Discipline se mind relaxed rehta hai. Fix karo study + break ka time. Kya padna hai aur kab padna hai, yeh clear hona chahiye.
Har 1.5-2 ghante me chhoti break lo. Walk karo, music suno ya thoda stretching – stress ka level kam hota hai.
Dusron ke marks ya syllabus dekh kar tension mat lo. Tumhara progress tumhare pace pe chalega – focus on your path.
Kam se kam 6-7 ghante ki neend zaruri hai. Dimag tabhi chalega jab thoda aaram milega.
Negative thoughts ko positive affirmations se replace karo: “Main kar sakta hoon.” “Main improve kar raha hoon.”
Jab stress zyada lage, kisi friend ya family se baat karo. Baatein share karne se burden halka lagta hai.
"JEE ek part hai life ka, life nahi. Stress ko manage karo, success zarur milegi."